Hota gar khuda to......
Hota gar khuda to yeh bhookh ye bimari na hoti
saari khudayi yoon zillat ki maari na hoti
Na hota kahin gareeb aur laachaar insaan
Mahgayi me ye kala bazaari na hoti
Na hota gamgeen koyi uski saltanat me
Is tarah muqaddar ki khwaari na hoti
Hota har haath ko kaam aur pet ko roti
Kahi shoshan aur kahi berojgaari na hoti
Koi dhanda na banata dharam ki afeem ka
Kahi uske naam ki dukandaari na hoti
Sab hote samaan ek jaise khus jahaan me
Gareeb pe ameer ki sawari na hoti
Kitna hota sukoon is duniya me chaaro taraf
Chain-o-khuloosh hota koi dushwaari na hoti
Kaash hota jo pyaar insaan ka insaan se
To har mulk me hota aman kahi bombaari na hoti
No comments:
Post a Comment