Hindi Poetry-Har raat ko chand ka sringar nahi milata

Har raat ko chand ka sringar nahi milata


Har raat ko chand ka sringar nahi milata
Har dali ko phooloN ka pyar nahi milata

Armaan bahut hoote hain iss dil meiN par
Har kisi ko man chaha sansar nahi milata

Kasti too bahut firati haiN lehrooN meiN
Har kasti ko kinaroN ka pyar nahi milata

AshiyaN bikhar jate haiN halke jhokoN se
Har kisi ko chin sa atut deewar nahi milata

ye jeeavan khatoN se bhara ek gulab haiN
yaha har gale ko phooloN ka haar nahi milata

Geet bahut hote hain hontooN par jevan k
par har geet ko saaz ka wo dhar nahi milata

Ye zindagi chhalawa haiN,ek dikhawa haiN
Yaha kabi kisi ko ek sachaa yaar nahi milata

Hum ne yehi soch kar sabr kar liya haiN OMi
k yaha har insaan ko insaan ka pyar nahi milata

___________________

No comments:

Post a Comment