Hindi Poetry-Aaj na jane kyun rone ka man kiya

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya



Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya

Duniya ki is bhag daud me kho chuka tha riste sab
Aaj phir un riston ko ek sire se sanjone ka mann kiya

Kisi din kisi bheed me dekhi thi kisi ki aankhen
Aaj fir un ankhon me khone ka mann kiya

Roj sapno se baatein karta tha main
Aaj na jane kyun unse muh modne ka man kiya

Jhooth bolta hoon apne aap se roj main
Aaj na jane kyun khud se ek sach bolne ka mann kiya

Dil todta hoon sab ka apni baaton se main
Aaj na jane kyun ek toota hua dil jodne ka mann kia

Dard dil ka dil me rakha hai maine ab tak
Aaj na jane kyun tumse har dard kahne ka dil kiya

Bahut baha liye maine aansu akele muh chhupakar
Aaj tere seene se lagkar betahasha rone ka dil kiya

Aaj naa jane kyun rone ka mann kiya
Maa ke anchal me sar chhupa ke sone ka mann kiya

__________________________

2 comments: