Hindi Poetry-Mausam-E-Dard mein ik dil ko bachaaun kaisey


Mausam-E-Dard mein ik dil ko bachaaun kaisey



Ab yeh sochoon to bhanwar zehan mein parr jatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay hi bichharr jatay hain


Kyon tere dard ko dein tauhmat-e-veeraani-e-dil
Zalzalon mein tau bharay shehar ujarr jatay hain


Mausam-E-Dard mein ik dil ko bachaaun kaisey?
Aisi rut mein tau ghhanay ped bhi ujarr jatay hain


Ab koi kya mere qadmon k nishaan dhoonday ga
Tez aandhi mein tau khaimay bhi ukharr jatay hain


Soch ka aaina dhundla ho to waqt k saath
Chand chehron k khad-o-khayal bigarr jatay hain


Shiddat-E-Gham mein bhi zinda hoon to hairat kaisi?
Kuch diye to hawaaon se bhi larr jatay hain


Woh bhi kiya log hain MOHSIN jo wafa ki khatir
Khud taraasheeda usoolon pe bhi arr jatay hain........!!!

________________

No comments:

Post a Comment