Hindi Poetry-Aankhon Ke Samandar

Woh Zabt Na Kar Paayeingi Aankhon Ke Samandar


Dukh Dard Ke Maaron Se Mera Zikar Na Karna
Ghar Jao Toh Yaaron Se Mera Zikar Na Karna


Woh Zabt Na Kar Paayeingi Aankhon Ke Samandar
Tum Raah Guzaaron Se Mera Zikar Na Karna


Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Se
Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikar Na Karna?


Shayed Yeh Andherey Hi Mujhe Raah Dikhayein
Ab Chaand Sitaaron Se Mera Zikar Na Karna


Woh Meri Kahani Ko Galat Rung Na De Dein
Afsana Nigaaron Se Mera Zikar Na Karna


Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein
Is Baar Bahaaron Se Mera Zikar Na Karna


Le Jaayeingi Gahrayi Mein Tum Ko Bhi Baha Kar
Dariya Ke Kinaron Se Mera Zikar Na Karna


Woh Shakhs Miley Toh Usay Har Baat Batana
Tum Sirf Ishaaron Se Mera Zikar Na Karna

No comments:

Post a Comment